This creation by one of the most renowned poet of Indian literature Dr. Harivansh Rai Bachchan inspires one to sail through the odds of life and remain optimistic even when the stream is against you .
Poorva Chalne Ke Batohi...
Poorva chalne ke batohi
baat ki pehchaan kar le
Pustako mein hai nahi
Chhapi gayi iski kahani.
Haal iska gynat hota Hai
na auro ki zubaani.
Anginat raahi gaye
Is raah se, unkaa pataa kyaa?
Par gaye kucch log is par
Chhod pairo ki nishaani.
Yeh nishaani mook hokar
Bhi bahut kuch bolti hai.
Khol iskaa arth panthi
Path ka anumaan kar le.
Poorva chalne ke batohi,
baat ki pehchaan kar le.
Yeh buraa hai yaa ki accha
Vyarth din is par bitaana,
Ab asambhav chhod yeh path
Doosre par pag badhaana.
Tu ise accha samajh,
Yatra saral isse banegi.
Soch mat keval tujhe hi
Yeh padaa man mei bitana
Har safal panthi yahi
Vishvaas le is par badhaa hai
Tu isi par aaj apne
Chit ka avdhaan kar le.
Poorva chalne ke batohi,
baat ki pehchaan kar le.
Hai anishchit kis jagah par
Sarit, giri, gahvar milenge
Hai anishchit kis jagah par
Baag ban sundar milenge
Kis jagah yatra khatam ho
Jayegi yeh bhi anishchit
Hai anishchit kab suman kab
Kantako ke shar milenge,
Kaun sahasaa choot jayenge,
Milienge kaun sahasaa.
Aa pade kuch bhi, rookegaa
Tu na, aisi aan kar le
Swapna aata hai sukhon ka
driga korkon mein deepti aati
pankh kag jaatey pagon ko
lalakti unmukt chaati
raste ka ek kaanta
paon ka dil cheer deta
rakt ki do boond girti
ek duniya doob jati
aankh mein ho swapna lekin
paaon prithvi par tikey hon
kantakon ki is anokhi
seekh ka sammaan karle
Poorva chalne ke batohi,
baat ki pehchaan karle